In Bollywood, many romantic movies release every year and these films contain many romantic dialogues. Almost everyone experiences love in his life and so the emotions are there in the mind of people. These feelings get reflected in the movies through dialogues of romance. Not only the acting of various actors but also the dialogue writing of the films play an important role in connecting with the audience. Actors such as Shah Rukh Khan have set a new standard of romance in the Hindi films and this would not have been possible without a quality love dialogue. Here is the list of famous romantic dialogues from Bollywood movies.
Famous Love Dialogues
- Dil ko zubaan, aankhon ko sapne mil gaye … aashiqui mein, zindagi ko mainne mil gaye
- Koi toh jalwa Khuda ke vaaste deedar ke kabil dikhai de … sangdil toh mil chuke hai sainkado … koi ail-e-dil toh dikhai de
- Kehte hain agar kisi cheez ko dil se chaho … to puri kainaat usse tumse milane ki koshish mein lag jaati hai
- Yeh zindagi chal toh rahi thi … par tere aane se maine jeena shuru kiya
- Duniya mein kitni hai nafratein … phir bhi dilon mein hai chahatein … mar bhi jaaye pyar waale … mitt bhi jaaye yaar waale … zinda rehti unki mohabbatein
- Main aaj bhi usse utni hi mohabbat karta hoon … aur is liye nahi ki koi aur nahi mili … par is liye ki usse mohabbat karne se fursat hi nahi milti
- Tujhe yaad kar liya hai aayat ki tarah … ab tera zikr hoga ibadat ki tarah
- Humse door jaoge kaise, dil se hum mein bhulaoge kaise … hum woh khushboo hai joh saason mein bastein hai, khud ki saason ko rok paoge kaise
- Main tumhe bhool jaon yeh ho nahi sakta … aur tum mujhe bhool jao yeh main hone nahi doonga
- Log kehte hai khoobsurat ladkiyan jab jhoot bolti hai … toh aur bhi khoobsurat lagti hai
- Itni shiddat se maine tumhe paane ki koshish ki hai … ki har zarre ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai
- I love you KKKKK … Kiran
- Mohabbat karna hamare bas mein nahi hai … us mohabbat se door chale jaana … woh hamare bas mein hai
- Saanson ke bina shayad kuch pal main jee sakta hoon … lekin tumhare bina nahin
- Tere dil mein meri saanson ko panaah mil jaye … tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaye
- Hum ek baar jeete hai, ek baar marte hai, shaadi bhi ek baar hoti hai … aur pyar ek baar hi hota hai
- Har ishq ka ek waqt hota hai … woh hamara waqt nahi tha … par iska yeh matlab nahi ki woh ishq nahi tha
- Tumhari smile kitni dangerous hai pata hai? … mere paas dil hota na, teri smile pe pakka aa jaata
- Pyar ishq mohabbat … duniya ka sabse aakhri aur khatarnak nasha hai
- Mana ki tu ek insaan hai sari duniya ke liye … magar sari duniya hai kisi ek insaan ke liye
- Aasaan hai kya aisi mohabbat karna … jiske badle mohabbat na mile
- Kiski talvar par sar rakhon yeh bata do mujhe … ishq karna agar khata hai toh saza do mujhe
- Agar tum mujhe yun hi dekhti rahi … toh tumhe mujhse pyar ho jayega
- Badi muddat se mere dil mein ek tasveer behti hai … teri zulfon ke chao mein meri taqdeer behti hai
- Main kisi ki zaroorat nahi … khwaish banna chahti hoon
- Bajirao ne Mastani se mohabbat ki hai … ayyashi nahi
- Tumhari jaisi ladki ke saath, mere jaise ladke ka hona … bahut zaroori hai
- Ishq de mere mitra pehchaan ki, mit javay jadoon zid apnan di … asli pyar ka matlab haasil karna nahi hota
- Aisa laga khuda ne rakh diya hamare dil pe haath … liya naam hamare unhone kuch aisi ada ke saath
- Jis mohabbat mein deewangi na ho … woh mohabbat hi nahi
- Khuda ki barkat hai mohabbat … mohabbat karo toh toot ke, bina khauf ke, bina sharm ke, bina soch ke … agar jeet gaye toh kya kehna … haare bhi toh baazi maat nahi
- Sarhad paar ek aisa shaksh hai … joh aapke liye apni jaan bhi de dega
- Main aankhen band karta hoon toh tumhe dekhta hoon … aankhen kholta hoon toh tumhe dekhna chahta hoon … tum paas nahi hoti ho toh tumhe chaaron taraf mehsoos karta hoon … har pal, har ghadi, har waqt
- Sachi mohabbat zindagi mein sirf ek baar hoti hai … aur jab hoti hai … toh koi bhagwan yah khuda usse nakamyab nahi hone deta
- Jagada tabhi hota hai jab dard hota hai … aur dard tabhi hota hai jab pyar hota hai
- Ek ladki sirf itna hi chahti hai … ki koi usse itna pyar kare … jitna kisi ne kisi se na kiya ho
- Yun nazar ki baat ki aur dil chura gaye … hum toh samjhe the bud, aap toh dhadkan suna gaye
- Revolver se zyada khatarnak cheez agar koi hai … toh woh hai tumhari aankhen
- Thappad se darr nahi lagta sahab … pyar se lagta hai
- Saath mein picture dekhi, samose khaye, haath pakda … uske baad kiss ka hi number aata hai na?
- Mujhe darr toh bahut si cheezon se lagta hai … par sabse zyada darr tumhe kho dene ke khayal se lagta hai
So this was the list of famous romantic dialogues from Bollywood movies. This collection of love dialogues will be updated with the new lines soon.